Rahein

Anjaani rahoon par chal pada, Duniya ke reet se lad pada. Kal ka tha ek ajeeb sa darr, Par dil se na mukar saka.

Manzil ki na fikr thi Jeet ka tha, matlab kuch aur

Zindagi ke shor me, Sanate ki talaash thi. Raat ke andheron me, Ek saaye ki aas thi.

Tanhai basi mehfilo mein,jahaan Yaar bhi bane anjaane yahaan

Umeed ke bal chalte hai, Kaaton bhari rah par. Khili hain kaliyaan nanhi si, Inhi ki mehek le, chalte chale